Showing posts with label shayari. Show all posts
Showing posts with label shayari. Show all posts

Tuesday, 26 January 2016

Ye Silsilay...

Kabhi hans liye, kabhi ro diye,
Kabhi lar paray, phir jaa milay
Ajab hai apni dastan-e-wafa
Baray munfarid hain ye silsilay

Mein lakh khud se kehti rahun
Nahin khair se ab rahi fikr mujhay
Tu rooth ja, mujhe chor ja
Juda tujhse huay mere rastay

Perr yadein meri, betien mere
Tujhi se wabastah rahay
Na yahan rang bache, na koi khushi
Jo barh gae hum men faaslay

Men kahun to kya, samjhaun to kya
Men haar chuki apnay hoslay
Tu mujhse alag, to men khud se juda
Na yun tanha chorr ker jaa mujhay...

Wednesday, 13 January 2016

Mazeed 2-liners

Ehsaasat ki afwaaj, lafzon ke hathyaar rakhtay hain
Baray zaalim hain ye shaayar, jeetay ji maar daitay hain...


....


Ae kaash in mehektay lafzon ke hujoom men
Koi aisa bhi shair ho jo haal-e dil bayaan ker day...



....


Har rooh ki gehraai mein basti hai tanhaai
Us tanhaai me rachti hai Khuda ki Khudaai



....


Apnay wajood se judaa ker ke mein khud ko agar dekhun
To wo shakhs hun jisay dushman se bhi baeed tar rakhun

Namumkinaat

Rooh pe jajti be-basi, ye buzdili, shikast-kadah ek zindagi
Us pe bheegi palkon ke khuab aur kuch khuahishen qalb-e veeran ki
Har pal pukaarti majbooriyan, past bulandiyan, buland pastiyan
Kahan se dhoond k laun mein...dil-e-moom, hosla-e-lashkari

Random two-liners


Dhalti shaam ho, bulandi pe kahin mil jaen
Tanhaai, khamshi, Khuda aur mein

.....


Chupaun bhi agar khud ko to kis bahaanay se
Ye jo paraae hain, dar-haqiqat apnay hi hain


.....


Ajab si aarzu aa basi hai dil-e veeran mein
Ab bas sannaton me jeenay ka dil chahta hai



.....


Ajab khilona banaya hua hai zindagi ne mujhe
Udaas hun to mujhse rooth jati hai ye
Zara khikhilaun to mujhe mazaq bana deti he..



.....


Dete bhi hain to sab musarrat-e zindagi ki duaaen
Koi rahat-e rooz-e mehsher ki dua kyun nahin deta

andaaz-e hamdardi

Ajeeb andaaz hai humadardon, humnawaaon kay
Marham kartay hain malmal me kaantay rakh ker